Friday, April 10, 2009

tu hi meri kamna mere geet ho

mera jeevan savara tum bo preet ho

main ab tak akela tha arthheen tha, jeevan jeevan nahi shok geet tha

tum veena ke taro ka bo sangeet ho,tum meri kamna mera sangeet ho

kisi anjane path per main chalta raha, main her pal mera main jalta raha

man ki agan bujai tum bo sheet ho,tum meri kamna mera sangeet ho

sakdo bandhno main tha main lipta hua, apne akakipan main tha simta hua

mere bandhan tudaye tum bo reet ho,tum meri kamna mera sangeet ho

mere sang sang chalo bhar ke man main umang,ant tak na chute hamara ye sang

unmat rahoon tum ko gata chalo, arthpurn prem ka tum vo geet ho

tum hi meri kamna mera sangeet ho

1 comment:

मधुकर राजपूत said...

ब्लॉग पर फर्जी नाम फर्जी काम करने वाले मरदूद। बेताल की तरह उल्टे काम करने वाले इंसान। बहुत वाहवाही बटोर रहे हो बे।