Saturday, April 11, 2009

दिल का दर्द

Hoti hai zindagi apni magar apni nahi
kyu ladkiyo ki shaam-o-sahar apni न
unke liye ankho ko hai jheel banati
kabhi bhi hoti jinki nazar apni nahi
khwaab uske palko pe saja leti hain
aisa safar jiski gard-e-safar apni nahi
safar ke anjaam pe maloom hua use
jispe chal rahi thi wo rehguzar apni nahi
har kisi ke dard ko apna hai banaya
aur apne dard ki hi khabar apni nahi
jisse mile dhoka usi pai yaqeen kare
sheher-e-wafaa ki koi dagar apni nahi
wo shokh titli hai "LAMHA" ke udne do use
wo bani sabki par khud humsafar apni nahi



kaun andaza mere gam ka laga sakta hai, kaun sahi raah dikha sakta hai, kinare walo tum mera dard ko kya jano,dubne wala hi gehrai bata sakta..............

2 comments:

मधुकर राजपूत said...

आज की महफिल में बिस्मिल एक गूंगा गा रहा, अपनी आज़ादी तो भैयी लौंडिया के तिल में।

Rajat Narula said...

aisa safar jiski gard-e-safar apni nahi
safar ke anjaam pe maloom hua use
jispe chal rahi thi wo rehguzar apni nahi

its really good, you writes brilliantly...